Thursday, August 29, 2013

Na Mein Dharmi




(Please excuse my mistakes in Hindi)
Na mein dharmi na adharmi mein to bharatvasi hoon
duniya bhar  mein  bharat desh ko unchi sthan mein dekhta  hoon  || na mein ||

Shaala kaalej se le kar aaj tak mein aise hi rahta hoon
Desh ki abhiman dil mein rakhte khote sikke chalaata hoon           || na mein ||

Mandir mein bhagvan ko rishwat shraddhaa se  mein  chadhataa hoon
Kaam kaaj mein jo bhi milta IT se usko  chipaata hoon                     || na mein ||

Bharat Maata ki Jai bolte mahilaa per atyaachaar sahta hoon
Daridra Narayan ko poojte garib logon se door rahta hoon            || na mein ||

Anna Hazare-ji  ko maante Tiharvasiyon ko vote daalta hoon
Sanskriti parampara samarthan karte videsh mein chaakri dhoondta hoon   || na mein ||


The starting words are taken from a Kabir doha.