(Please excuse my mistakes in Hindi)
Na mein dharmi na adharmi mein to bharatvasi hoon
duniya bhar mein bharat desh ko unchi sthan mein dekhta hoon || na mein ||
Shaala kaalej se le kar aaj tak mein aise hi rahta hoon
Desh ki abhiman dil mein rakhte khote sikke chalaata hoon || na mein ||
Mandir mein bhagvan ko rishwat shraddhaa se mein chadhataa hoon
Kaam kaaj mein jo bhi milta IT se usko chipaata hoon || na mein ||
Bharat Maata ki Jai bolte mahilaa per atyaachaar sahta hoon
Daridra Narayan ko poojte garib logon se door rahta hoon || na mein ||
Anna Hazare-ji ko maante Tiharvasiyon ko vote daalta hoon
Sanskriti parampara samarthan karte videsh mein chaakri dhoondta hoon || na mein ||
The starting words are taken from a Kabir doha.